ROM Kya Hai ? What Is Read Only Memory ?

ROM (Read Only Memory)

 WHAT IS ROM ?

ROM Ka Full Form Read Only Memory Hoti Hai.ROM Ek Aisi Memory Hoti Hain Jisme Information Ko Only Read Kiya Ja Sakta Ha. Isliye Yah ROM Kahlati Hai. Avam Yah Memory Non-Volatile Memory Hoti Hai Arthat Isme Information Permanent Rup Se Sangrahit Rahti Hai. Bijli Ke Chale Jaane Par Information Nast Nahi Hoti Hai. Yah Teen Types Ki Hoti Hai.
  
Three Kinds Of ROM (Read Only Memory)

 01. PROM (Programmable Read Only Memory).

 02. EPROM (Erasable Pragrammable Red Only Memory). 

 03. EEPROM (Electrically Erasable Programmable Red Only Memory).


01. PROM (Programmable Read Only Memory)

Is Types Ki Memory Me Ek Baar Progamm Store Karne Ke Pashchat Badle Ya Delete Nahi Ja Sakte Hai Ise Ek Baar Likha Jaata Hai And Baar Baar Red Kiya Ja Sakta Hai.

02. EPROM (Erasable Programmable Read Only Memory)

Is Memory me Programme Store Karne Ke Pashchat Badla Ya Delete Kiya Ja Sakta Hai Is Memory Se Programme Delete Karne Ki Liye Ultra-Voilet-Rays Ka Use Kiya Jaata Hai And New Programme Store Kiye Jaa Sakte Hai.
  

03. EEPROM (Electrically Erasable Programmable Read Only Memory)

Is Memory Me Programme Ko Aavashyakta Padne Par Vidut Tarange Dwara Mitaya Jaa Sakta Hai, And New Programme Add Kiye Jaa Sakte Hai.  


04. Flash Memory

Yah Sthayi Non-Voilatile Computer Memory Hoti Hai Jisko Electrically Erased And Reprogrammed Kiya Jaa Sakta Hai Yah Taknik Flash Memory Card Me Important Rup Se Prayukt Ki Jaati Hai Jinme Samany Bhandaran Va Data Ke Transfer Ka Work Do Cmputero Ya Any Digital Utpado Me Karte Hai. Iski Kimat Kaafi Kam Hone Ke Karan Iska Bahutayat Se Use Hota Hai. 
Yah Ek NON-VOLATILE Memory Hoti Hai Arthat Vidut Ke Na Rahne Par Bhi Isme Information Bani Rahti Hai. Aajkal Yah Memory Bahutayat Me Use Ki Jaati Hai Yah Ek Types Ki EEPROM Memory Hai. Flash Memory Me Ek Baar Me Bade-Bade Block Ko Hataya Ya Copy Kiya Jaa Sakta Hai Jabki EEPROM Me Ek-Ek Bite Karke HI Delete Athva Programme Kiya Jaa Sakta Hai. Is Types Flash Memory Me New Data Likhne Me Kam Time Lagta Hain. Flash Memory, EEPROM Memory Ke ApeKshakrit Sasti Bhi Hoti Hai.
Pan Drive, Digital Camera Avam Digital Utpado Me Use Kiye Jaane Wala Memory Card Etc. Flash Memory Ke Hi Example Hai.  


                                             

2 thoughts on “ROM Kya Hai ? What Is Read Only Memory ?”

  1. Nice post dear, I have been surfing online more than 3 hours today, yet I never found
    any interesting article like yours. It is pretty worth
    enough for me. In my view, if all web owners and bloggers made good content
    as you did, the internet will be much more useful than ever before.
    There is certainly a lot to know about this issue.

    I love all of the points you’ve made. I am sure this post
    has touched all the internet viewers, its really really good post on building up new weblog.
    10 BEST ONLINE MONEY TRANSFER APPS & E-WALLETS IN INDIA

    Reply

Leave a Comment