PMGDISHA Ka Payment Nahi Aaya Jaaniye Kyo

Hello VLE Bhaiyo Aaj Is Post Me Ham Aapke Liye Kuch Important Jaankari Laaye Hai. 
Dosto Yadi Aapne Abhi Tak PMGDISHA Center Ke Liye Apply Nahi Kiye Hai To Jald Se Hi Hi Apply Kar Le. Kyoki Dosto PMGDISHA Yojna March 2019 Tak Hi Chalega.

VLE Dosto Hamare Bahut Se VLE Bhai Ko Payment Related Bahut Hi Prablem Aa Raha Hai. Dosto Kai Logo Ka Abhi Tak Payment Nahi Hai. Dosto Payment Rukna Koi Chhoti Baat Nahi Hai.
                           PMGDISHA Ka Payment Tabhi Rukta Hai Jab Aapne Kuch Gadbadi Ki Hogi. Dosto Payment Kyo Nahi Aa Rha Hai Jaanke Ke Liye Puri Last Tak Post Ko Padhe.

PMGDISHA Payment Kyo Nahi Aata Hai ?

Dosto Niche Me Kuch Jaruri Baate Hai Jise Aap Bhul Kar Bhi Na Kare Kyoki Dosto Aapka Payment Kabhi Bhi Ruk Sakti Hai.

01. Fake Transaction Id  

02. Fake Email ID

03. Fake Registration 

04. Fake Exam

05. Wrong Bank Account Number.

01. Fake Transaction Id

Dosto Kai VLE Bhai BHIM App Se Trainsaction To Nikalte Hai Par Jab Outcome From Fill Up Karte Hai To Wo 1 – 2 Id Sahi Daalte Hai aur Baki Ka Id Ko Fake Daal Dete Hai. aise Me Dosto Yadi CSC Ko Pata Chalega To Beshk Hamare Payment Ko Roke Dega.

02. Fake Email ID

  Dosto Email Id Banane Ke Liye Mobile Number Ki Jarurat Hoti Hai. aur Ek Hi Mobile Number Se 1-5 Email Id Ban Pata Hai. Jabki Ham Logo Ko 300 Students Ke Liye 300 Email Id Banane Hote Hai. Aise Me Ham Mobile Number Kaha Se Manage Kar Paayenge.
TO Kai VLE Kya Karte Hai Ki Free Ka Email Yani Ki Fake Email ID Generate Karke Students Ka Email ID Ko Verify Kar Leta Hai. waise Bhi Fake Email Id Ko Aasani Se Pahchana Ja Sakta Hai. Dosto PMGDISHA Students Ke Liye Sahi Email Id Kaise Banaye? Iske Baare Me Jaanke Ke Liye Hamare Pichhle Post Ko Jarur Padhe.

03. Fake Registration 

Dosto Kai Hmare VLE Bhaiyo Ek Bahut badi Galti karte Hai Ki Wo Kam Samy Ke Liye Jyada Se Jyada Registration Karne Ke Liye 14 Years Se Kam Students Ka Wrong Date Of Birth Daal Ke Registration Kar Deta Hai. Jabki VLE Ko Pata Hona Chahiye Ki CSC Ke Pass UID Sa Sabhi DATA Hai.

04. Fake Exam

Dosto Ye Galti Sabhi Log Karte hai Hai. Kai VLE Fake Exam Lete Hai Jisse Payment Ruk Bhi Sakta Hai.

05. Wrong Bank Account Number. 

Dosto Ye Galti  Kuch VLE Ke Me Hai Wo PMGDISHA ME Work To Karte Hai Par Kai VLE Ka Bank Account Number Close Ho Jaata Hai Ya Fir Digital Sewa Portal Me Wrong Bank Account Number Hota Hai To Payment Kisi aur Ke Account Me Chala Bhi Jaata Hai Ya Fir Nahi Aata Hai. To Dosto Ek Baare Aap apne Bank Account Ko Cheack Karke Jarur Dekhe.

Dosto Yadi Aapne PMGDISHA Me Ye Kaam Kiye Honge To Beshk Aapke Payment Ruk Sakta Hai. Isliye Dosto Aap Traisaction Id Aur Email ID Ko Sahi Daale.

Dosto Yadi  aapko PMGDISA Se Relate Kuchh Bhi Prablem Aaate Hai To Hame Niche Comment Box Me Comment Jarur kare. Aur Hame Bataye Ki Ye Post Aapko Kaise Lage Aur Dost Sath me ye Post Ko Apne VLE Friends Ko VLE Group Me Share Jarur Kare.

Hello Dosto Mera Name Madhav Netam Hai. Main, Mera Internet Gyan, Mera General Knowledge Ka founder Hu. Dosto Mujhe Blogging Karna Bahut Pasand Hai. Main Internet Se Naye Naye Jaankari Leta Rahta Hu Aur Apne Visiter Ke liye Naye Naye Technical Related Jaankari Deta Hu. Aur Main Internet Se Sabka Help Karta Hu Mujhe Help Karna Bahut Achchha Lagta Hai

Leave a Comment