How to reactivate Suspended CSC ID, deactivated CSC Digital seva Id

How to reactivate Suspended CSC ID: Dosto Agar Aapka Bhi CSC ID Login Nhi Ho Pa Rha Hai Aur Aapko Lagta Hai Ki Aapka Digital Sewa Ki ID Ko Band Ya Suspend Kar Diya Gya Hai To Aap Use Bahut Hi Aasani Se CSC ID Ko Active Kar Sakte Hai. Suspend Ya Deactive CSC Digital Sewa ID Ko Yadi Aap Fir Se Chalu Karna Chahte Hai To Iska Sirf Ek Hi Tarika Hai Aur Wo Tarika Kya Hai Aapko Isi Post Me Jaankari Milega Isliye Dosto Is Post Ko Starting Se Last Tak Jarur Padhe.

Dosto Aapko Pata Hi Hi Ki CSC Center Yani Ki Choice Center Ya Fir Grahak Sewa Kendra Ke Liye CSC ID Hona Bahut Hi Mahtvpurn Hai. Yadi Aap Fir Se CSC Me Kaam Karna Chahte Hai To Aapko CSC ID Ki Jarurat To Padega Hi Aur Ham Dusra Wala CSC ID To Apne Name Ka Bana Hi Nhi Sakte Hai. Yadi Kisi Dusre Ke Name Se Banayenge To Aproval Hone Me Bahut Samy Aur Paise Bardad Hoga. Sath Hi Aapko Usme Work Karne ME CSC VLE Ka Fringerprint Bar Bar Lagana Padega Isliye Aap Apne Disable CSC ID Ko FIr Se Active Kar Sakte Hai.

How to Check CSC Digital seva Id Status Online ?

Agar Aapka CSC ID Deactive Ya Fir Suspend Ho Gya Hai To Aap Kaise Pata Karenge ? Dosto Digital Sewa CSC ID Ki Status Check Karna Bahut Hi Aasan Hai Iske Liye Aap Niche Diye Gye Tarke Ko Follow Kare-

  • Sabse Pahle Aap Digital Sewa Ki Official Site Par Jaye –
  • Fir Aap Apne CSC ID Aur Password Ki Madd Se Login Kare
  • Yadi Login Nhi Ho Rha Hai To Aap Samjh Lena Ki Aap CSC DI Desable Ho GYa Hai.
  • Aur Yadi Login Ho Rha Hai Aur Waha Pe Likha Aa Rha Hai —————— To Samjh Lena Ki Aap Digital Sewa ID Suspend Ho GYa Hai Kyoki Aapko 365 Days Me Ek Bhi Transaction Nhi Kiya Hai.

CSC ID Suspend Kyo Hota Hai ?

Dosto Ham Sabhi VLE Ko Pahle Notice Aata Hai Ki Aapne Bahut Dino Se EK Bhi Transaction Nhi Kiya Hai Fir 365 Din Me Yadi Aapne EK Bhi Transaction Nhi Karenge To Aapka Digital Sewa Ki ID Ko Suspend Kar Di Jati Hai. Dosto Maine Bhi 365 DIn Se EK Bhi Transaction Nhi Kiya Tha Isliye Mera ID Block Ho Gya Tha Fir Maine Isi Tarike Se Apne ID Ko Fir Se Avtive Kiya.

Kabhi Kabhi Aisa Bhi Hota Hai KI Yadi Aap CSC ID Ka Galt Upyog Kar Rhe To To Bhi CSC ID Ko Disable Kar Diya Jata Hai. Bahut Se Aise Log Bhi Hai Jo PMGDISHA ME Kaam Karne Ke Liye CSC ID Banwaye The Lekin WO VLE Kaam Nhi Kar RHa Hai Isliye Bhi Unke ID Ko Block Kar Diye Gye Hai.

How to reactivate Suspended CSC ID, deactivated CSC Digital seva Id

Dosto Agar Aap Suspnd CSC ID Ko Fir Se Chalu Karna Chahte Hai To Aap Bahut Hi Aasani Se Kar Sakte Hai Magar Yaad Rhe Ki Har VLE Ka ID CHalu Nhi Hoga. Jo VLE Ki Perfarmance Good Tha Yani Ko Jo VLE Achchha Kaam Kiye The Unka ID 100% Active Ho Jayega.

Suspend CSC ID Ko Dobara Kaise Chalu Kare ?

Dosto Suspend CSC ID Ko Dobara Start Kar Sakte Hai Iske Liye Aapko Niche Diye Gye Kuch Steps Ko Follow Karna Hoga-

  • Sabse Pahle apko Digital Sewa Portal Me Login Ho Jana Hai.
  • Fir Waha Pe Aapko Likh Najar Aayega Ki Aapko 365 Days Se EK bhi Transaction Nhi Kiye Hai Isliye Aapka ID Suspend Kar Di Gai Hai.
desable csc id
  • Fir Waha Pe Aapko 2 Option Milega Pahla Ki Reative ID Aur Dusra Surrender, Yadi Aap Dobara ID Ko CHalu Karna CHahte Hai To Reactive Par Click Kare Fir Aap Comment Box Me Ek Reason Likhna Jiase Ki – Please Sir Meri ID Ko Active Kar Do Kisi Reason Se Main Work Nhi Kar Rha Tha Fir Aap Send Kar Do. Iske Baad Aap Kuch Din Waise Karna Hoga Lagbhag 7 – 30 Days. Iske Baad Aap Beech Beech Apne Digital Sewa Portal Par Login Jarke Jarur Dekhe. Fir Kuch DIn Wait Karne Ke Baad DIgital Sewa Portal Par Login Karne Par Aapke Bola Jayega Ki 1200 RS Ka Wallet Ko Topup Karo. Fir Aap Wallet Par 1200 RS Amount Add Kar Do. Fir EK DO Din Baad Aapka Wallet Se 1000 RS CSC ID Reactive Charge Cutega Aur Aapka ID CHalu Ho Jayega.

To Dosto Is Tarike Se Maine Bhi Apne CSC ID Ko Chalu Kiya Tha. Yadi Aapka Bhi ID Suspend Ho Gya THa Hai Aap Mujhe Jarur Bataye Main Aapka CSC ID KO Active Kara dunga.

Suspend CSC ID Active Ho Jane Ke Baad Kya Kare ?

Dosto Jaise Hi Aapka Suspend CSC ID Active Ho Jata Hai To Aap Usme Sabse Pahle Wallet TopUp Kare. Fir Jaldi Se EK Transaction Kar. Iske Baad Aap DIgital Sewa Portal Par Work Karna CHalu Kar De. Dosto Yaad Rhe Ki Aapko Har Month EK Transaction Jarur Karna Hai. Yadi Aap Nhi Karenge To FIr Se Aapka ID Suspend Ho Jayega Aur Aap Dobara CSC ID Ko Chalu Nhi Kar Sakte Hai.

Suspend CSC ID Active Hone Ke Baad Important Document Jarur Bana Le

Dosto Deactive CSC ID Ko Active Hone Ke Baad Aapke Police Verification Certificate Banwana Padta Hai Jiski Jarurt Aapko Padega Kyoki Ise Aapko Portal Par Upload Karna Hota Hai. Yadi Aap Ye Document Ko Upload Nhi Karte Hai To Kuch Important Service Jaise Ki PAN Card, Aadhaar Card, Bank BC, ETC Ka Kaam Nhi Kar Sakenge. Police Verification Certification Kaise Banate Hai Yadi Aapko Nhi Pata Hai To Aap Mujhe Comment Me Jarur Bataye Taki Iske Baare Me Bhi Main Aapko Jaankari Dunga.

To Dosto CSC ID Disable Hone Par Is Tarike Se Dobara CHalu Kiya Ja Sakta Hai. Umeed Hai Ki Ye Jaankari Aapko Jarur Achchha Laga Hoga Aap Hame Comment Me Jarur Bataiye. CSC Se Related Kuch Bhi Sawal Ho To Aap Hame Comment Ke Madhym Se Bindas Puchh Sakte Hai.

Author Profile

c96dc2a908ee112e630f67d58feeea2e?s=100&d=mm&r=g
Madhav Netam
Mera Internet Gyan - "ऐसा ज्ञान जो सबके काम आए!" यह एक ऑल-इन-वन प्लेटफॉर्म है, जो मोबाइल, एंड्रॉइड, CSC (कॉमन सर्विस सेंटर), SEO, ब्लॉगिंग, गूगल एडसेंस, गूगल एनालिटिक्स, गूगल अवार्ड्स, और कंप्यूटर सॉफ्टवेयर से जुड़ी हर जरूरी जानकारी प्रदान करता है।

Leave a Comment