Ghar Baithe Fast Typing Karna Kaise Sikhe
Hello dosto aaj mai aapko ek aisa tipes batane jaa raha hoo jo aapke liye bahut hi helpful hai aur majedaar bhi hai . ye tipes khash un logo ke liye hai jo Typing sikhane ke liye jaate hai . Aaj kal ke bachche / yuwa typing sikhane ke liye ya fir Fast Typing karne ke liye bahut dur-dur jaate hai aur jiska fees 200-300 par month hota hai. Tying me keval ham eek hi ghanta sikhaya jaata hai . to dosto aaj ham aise tipes ke bare me baat karna jar raha hoo jisse aap bahut hi jald kam samay me HINDI/ENGLISH typing sikh sakte hai wo bhi Super Fast Speed me . Yadi aap Typing sikhane ke liye kahi par course karna chahte hai to main aapko yahi kahana chahunga ki aap bhar par hi baithkar kam samy me behtrin speed se fast typing karna sikh sakte hai wo bhi bhina kisi typing teacher ke bina . Ghar par typing sikhane ke liye padhte rahiye MeraInternetGyan.
You Also Read:
01.Windows 7 Auto Update को कैसे रोके ?
02.OneAd से 250000 हर महीने कमाने के तरीके |
03.Google Official Tez App Se 9000 Rupye Kaise Kamaye ?
04. Google Reward Se Paise Kaise Kamaye ?
05.PhonePe Se 500 Rupye Turant Kaise Kamaye ?
Ghar par typing karne ke liye hamare pas kya-kya hona chahiye
01.computer/Typerwriter
02.Typing Software
01.computer/Typerwriter
Aaj kal to jyaadatar gharo me computer hi paya jaata hai. yadi aapko ghar baithe fast tying karna hai to aapke pass computer hona jaruri hai. Yadi computer nahi hai to Typerwriter hona jaruri hai yadi dono nahi hai to aap apne dosto ka computer use kar sakte hai yadi ye bhi nahi kar sakte to aapko typing sikhne ke liye course karna padega isliye hamare pass computer hona jaruri hai.
02.Typing Software:
Yadi aapke pass computer hai to apke computer me koi sa bhi typing software hona jaruri hai jiske jariye aap apne computer me typing sikhenge. Internet me aapko kai aise behtarin – behtarin Software mil jaange jo aapko computer me typing karna sikhayenge. Yadi aapke pass typing software nahi hai to Internet me search karke download kar sakte hai .
Kuch Typing Software hai :-
Master Tying, Sonama Typing. Etc
Maine to sonama typing se fast typing karna sikha hai aur aap chahe to dono software download kar le aur jo software achchaa lage use use kare .mai aapko sonama typing download karne ko kahunga kyoki yah bahut badiya hai aur isme aap HINDI aur ENGLISH dono typing sikh sakte ho. Yadi aap sonam typing software download karna chahte ho to Sonama Tayping Expert Download par jaake download kar sakte hai .
Sonama Tayping Expert Download
Ghar Baithe Fast Typing Kaise Kare Step Follow kijiye:-
Maine bhi typing karne ke liye typing course join kiya tha par waha maja nahi aata tha kyoki waha samay bahut kam rahta tha aur ek hi lesion ko 1 weak tak type karna hota tha mai to bore ho jaata hai wahi –wahi type kare.
Step 01.
Sabse pahle aapko te soch lena chahiye ki aap kaun sa typing sikhana chahenge mera matlab hai ki HINDI/ENGLISH .
Step 02.
Yadi aap HINDI typing sikhana chahte hai to Hindi par click kijiye /ENGLISH typing karna chahte ho to enlish par click kijiye. Step 02. Uske baad aap apna name aur last name likhe
Step 03.
Fir login par click kijiye
Step 04
ab aap keyboard par apna hath jamakar rakhe
HINDI:
yadi aap hindi typing karna chahte ho to aap apne prathm 4 fingers ko kramanusar SDFG par rakhe uske baad HJ button par fingers nahi rakhan hai . K se ‘ tak rakhna hai yani ki JKL: par apna ungli rakhana hai .yaad rahe ki dono hato ke bich do button khali hona chahiye(H aur J). apna angutha Space par rakhata hai .
ENGLISH:
yadi aap English typing karna chahte hai to aap apne prathm 4 fingers ko A se leker F tak rakhana yaani ASDF par Finger ko rakhana hai. GH button par fingers nahi rakhana hai. J se lekar ; tak Right Hand ka finger rakhana hai . aur apna dono angutha Space par rakhana hai. To aapko Hindi/English ka niyam to maloom ho gaya hai na typing sikhana hai to Ungli ko jamakar rakha padta hai tabhi ham fast typing kar sakte hai . Iske bare me sonma typing/master typing me diya gaya hai ki kaun sa ungli par kaun sa button ko dabana hai uske anusar hi dabaye . Us software se aap daily typing kare dheere-dheere aap typing karna sikha jaayenge . Suru me to aapko hanth ko jamana padege fir hanth jam jayega tabhi aap apne speed ko badana . To dosto is prakar aap Ghar baithe Sikh sakte hai Fast Typing karna .
You Also Read
01.Ghar Baithe Fast Typing Karna Kaise Sikhe. ?
02.Image Ko PDF File Me Convert Kaise Kare ?
03.Android Mobile Se Computer Me Internet Kaise Chalaye?
04. Computer Me Kisi Bhi File Ko Hide Ya Unhide Kaise Kre?
05. Youtube Ka Video Download Kaise Kare ?
yadi aapko Fast Typing karne me koi pareshani ho raha hoga to mujhse jarur sampark kare . aap mujhe kabhi bhi facebook/email/comment kar sakte hai . aur hai tipes ke bare me comment jarur kare.
Dosto Yadi Ye Post Aapko Achchha Lage To Apne Dosto Ko Share Jarur Kare Taki Wo Bhi Fast Typing Karna Shikh Sakte.
Leave a Reply