Floppy Disk Kya Hain (What Is Floppy Disk)

Posted by

Hello Dosto Main Aapko Is Article Mein Floppy Disk Ke Baare Me Batane Ja Raha Hun. Flappy Disk Ka Use Pahle Kartr The Lekin Dosto Aaj Kal Ham Pendrive Ka User Karte Hai. Floppy Disk Se Ham DATA Ko Ek Computer Se Dusre Computer Mein Transfer Kar Sakte Hain.

Floppy Disk Kya Hain ?

Floppy Disk Ek Patli Plastic Ki Disk Hoti Hain , Jis Par Magnetic Padarth Ki Parat Chadhi Rahti Hain. Is Magnetic Disk Par Suchnao KO Sangrahit Kiya Jaata Hain . Yah Security Ke Liye Plastic Ke Jacket Se Dhaki Hoti Hain Iske Madhya Me Ek Bada Chhed Hota Hain. Floppy, Floppy Drive me Fit Ho Jaati Hain And Ghum Sakti Hain, Disk Ke Kinare Par Write Protector Noch Hota Hain. 1.44MB Ki Floppy Me Jab Yah Notch Khula Rahta Hain To Hum Floppy Me Kewal Suchnaye Read Ya Write Kar Sakte Hain. Is Notch Ke Close Hone Par Hum Suchnao Ko Read And Write Kar Sakte Hai Floppy Track And Sector Me Devide Ho Jaati Hain. Suchnaye Floppy Ke Sector Me Likhi Jaati Hain.New Floppy Me Koi Bhi Track And Sector Nahi Hote Hain. Disk Me Track And Sector Banane Ke Liye Floppy Ki Formating KI Jaati Hain.

Two Kinds Of Floppy Disk

 Friends Floppy Disk Ko Do Bhago Me Devide Kiya Gaya Hai. Jiske Baare Me Hum Aapko Details Me Batayenge.


01. Soft SEctor Floppy

02. Hard Sector Floppy

  

01. Soft Sector Floppy Disk

Dosto Yah Ek Aisa Disk Hai Jisme HUm Data KO Baar Baar estore Karke Use Formate Kar Sakte Hai.  Yani KI Soft Sector Floppy Disk Ko Baar Baar Use Kar Sakte Hai.


02. Hard Sector Floppy Disk 


Dosto Yah Ek Aisa Disk Hai JIska Use Hum Sirf Ek Baar Kar Sakte Hain Yani Ki Hard Sector Floppy Disk Me Hum Kewal Ek Hi Baar Data KO store Kar Sakte Hai.And Is Disk KI Data Ko Delet Ya Formate Nahi Kiya Ja Sakta. Floppy Disk Alag Alag Size Me HOte Hai Jaise 5.25 inch 3.5 inch Etc.

Inki Storage Bahut Hi Kam 1 MB se 3 MB Tak Hoti Hai JIske Karan Aaj Kal Floppy Disk Ka Use Nahi Karte Hai. 

To Dosto Aapne Floppy Disk Ke Baare Me Jaan Liye Hain. Dosto Yadi Aapko Computer Se Related Koi Bhi Quetion Ho Niche Diye Gaye Comment Box Me Hume Comment Jarur Kare Dosto Yadi Yah Article Aapko Achha Laga Ho To Share Jarur Kare.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *